Har Tamasha Chand Lamhon Mein Purana Ho Gaya

har tamāshā chand lamhoñ meñ purānā ho gayā

rafta rafta band phir ik ik darīcha ho gayā

jaane kis jānib se sūraj kī kiran mujh par paḌī

merā saayā mere qāmat se bhī ūñchā ho gayā

āgahī aur āshiqī dīvāngī aur mai-kashī

tajraba bā.īs barsoñ meñ bahut sā ho gayā

ye sazā-e-shauq hai yā qīmat-e-ḳhud-āgahī

dil huā pur-nūr to be-nūr chehra ho gayā

sher kā fan bhī ‘munavvar’ apne kaam aayā nahīñ

ham hue fankār to ye fan hī rusvā ho gayā

Leave a Comment