• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har Sitam Lutf Hai Dil KHugar-E-Azar Kahan

Har Sitam Lutf Hai Dil KHugar-E-Azar Kahan

har sitam lutf hai dil ḳhugar-e-azar kahan

sach kaha tum ne mujhe gham se sarokar kahan

dasht-o-sahra ke kuchh adab hua karte hain

kyuun bhaTakte ho yahan saya-e-divar kahan

bada-e-shauq se labrez hai saghar mera

kaise azkar mujhe fursat-e-afkar kahan

kyuun tire daur men mahrum-e-saza huun ki mujhe

jurm par naaz sahi jurm se inkar kahan

rah-rav-e-shauq hai begana-e-manzil varna

kucha-e-dar kahan kucha-e-dildar kahan

sochte kya ho jalate raho zaḳhmon ke charagh

dekhte kya ho abhi sub.h ke asar kahan

tum ko chaha tha magar tum bhi vafa-dost nahin

dil pe takiya tha magar dil bhi vafadar kahan

yuun to har gaam pe gham-ḳhvar mile hain ‘taban’

jo mire gham ko samajh paa.e vo gham-ḳhvar kahan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

MULLA JAMI

Maem Ba-Rah-e-Ishq Poyan Hama-Umr

Aap Jab Muskurae Ghazal Ho Gai

gulzar

dikhai dete Hain dhund Mein Jaise Sae Koi

Rakh Ke Dher Pe Kya Shoala-Bayani Karte

Dur Ta-Hadd-E-Nazar Aab-E-Shajar Kuchh Bhi Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet