har pal main taḌap kar dam-e-aḳhir hua jaata huun
ashiq tha main poshida zahir hua jaata huun
is umr-e-jahalat men dil ḳhana-ka.aba tha
ab ilm-o-hunar pa kar kafir hua jaata huun
ye kaise bhala kah duun baḳhsha nahin kuchh us ne
har saans pe main us ka shakir hua jaata huun
ik baar kiya main ne bas pyaar anaḌi sa
haan pyaar ko likh likh kar mahir hua jaata huun
Leave a Reply