kis haqiqat ka inkishaf kiya
dil ne mujh ko mire ḳhilaf kiya
mere hone ka e’tiraf kiya
mujh se jis ne bhi iḳhtilaf kiya
to ne mujh ko muaaf kar Daala
main ne ḳhud ko nahin muaaf kiya
aankh main gard-e-ḳhud-numa.i thi
phir mujhe aa.ine ne saaf kiya
ek surat dikha.i dene lagi
main ne dil men ajab shigaf kiya
ek duniya tabah kar Daali
ek zarre ne inhiraf kiya
masjidon men the shor-o-shar ‘nayyar’
main ne sahra men etakaf kiya
Leave a Reply