har koi kyuun chup baiTha hai sahab ji kuchh to bolo
ḳhamoshi ka kya qissa hai sahab ji kuchh to bolo
aaj qalam ka roza hai kya ya kaghaz taqve se hai
qasid kyuun fursat likhta hai sahab ji kuchh to bolo
angna.i ke peḌ pe panchhi zikr men kyuun masruf nahin
ye sannaTa sa kaisa hai sahab ji kuchh to bolo
majburi se muḳhtari tak duuri se nazdiki tak
aḳhir ye kaisa parda hai sahab ji kuchh to bolo
kis kis ka munh band karoge kis ko kis ko rokoge
bura milan ke beach men kya hai sahab ji kuchh to bolo
jo darvaza lachari ke naam pe mujh par band raha
kya ab bhi vo band paḌa hai sahab ji kuchh to bolo
is duniya se us duniya tak rusva kar dene ke ba.ad
ab logon ka kya kahna hai sahab ji kuchh to bolo
kal tak tum ko jaan se pyara dil ka sahara lagta tha
ab ‘rahmani’ kya lagta hai sahab ji kuchh to bolo
Leave a Reply