har ghaḌi pesh-e-nazar ishq men kya kya na raha
mera dil bas tiri tasvir ka divana raha
ye sitam mujh pe mire ishq ka achchha na raha
tujh ko dekha to mira dil mira apna na raha
aisa mad.hosh kiya teri tajalli ne mujhe
tuur bhi mere liye vaj.h-e-tamasha na raha
yuun tire naqsh-e-kaf-e-pa pe ada ki hai namaz
sar men ka.aba ke liye ek bhi sajda na raha
zindagani tujhe le ja.un men kis ke dar par
dil men hasrat na rahi sar men bhi sauda na raha
vo na ka.abe men mila hai na sanam-ḳhane men
kya qayamat hai ki vo shoḳh kisi ka na raha
ibtida ye thi ki main apna samajhta tha unhen
intiha ye hai ki main aap bhi apna na raha
vo paraya tha ‘fana’ is ka gila kya kiije
gham to ye hai ki main ḳhud aap bhi apna na raha
Leave a Reply