Ye Zamin Hun Wo Aasman Bhi Hun

ye zamīñ huuñ vo āsmāñ bhī huuñ

maiñ yahāñ bhī huuñ maiñ vahāñ bhī huuñ

martaba merā jo bhī hai so hai

bahut achchhā huuñ maiñ jahāñ bhī huuñ

mujh se bāhar mirā surāġh nahīñ

maiñ ki manzil bhī huuñ nishāñ bhī huuñ

tan-e-tanhā bhī gāmzan huuñ aur

saath sab ke ravāñ-davāñ bhī huuñ

mujh se mere sivā na kuchh bhī maañg

maiñ safar bhī huuñ armuġhāñ bhī huuñ

zarā aage nikal ke dekhūñ agar

maiñ koī yād-e-raftagāñ bhī huuñ

zindagī kī huuñ be-nishānī bhī

maiñ kisī gor kā nishāñ bhī huuñ

faḳhr bhī hai ki phir bhī huuñ ‘betāb’

apnī hastī se bad-gumāñ bhī huuñ

Leave a Comment