Har ghaDi Barse Hai Baadal Mujh Mein

har ghaḌī barse hai bādal mujh meñ

kaun hai pyaas se pāgal mujh meñ

tum ne ro-dho ke tasallī kar lī

phailtā hai abhī kājal mujh meñ

maiñ adhūrā sā huuñ us ke andar

aur vo shaḳhs mukammal mujh meñ

chup kī dīvāroñ se sar phoḌe hai

jo ik āvāz hai pāgal mujh meñ

maiñ tujhe sahal bahut lagtā huuñ

tū kabhī chaar qadam chal mujh meñ

muzhda āñkhoñ ko ki phir se phūTī

ik na.e ḳhvāb kī koñpal mujh meñ

kāTne haiñ ka.ī ban-bās yahīñ

ug rahā hai jo ye jañgal mujh meñ

aag meñ jaltā huuñ jab jab ‘at.har’

aur aa jaatā hai kuchh bal mujh meñ

Leave a Comment