har ik ye kahta hai ab kar-e-din to kuchh bhi nahin
ye sach bhi hai ki maza be-yaqin to kuchh bhi nahin
tamam umr yahan khaak uda ke dekh liya
ab asaman ko dekhun zamin to kuchh bhi nahin
miri nazar men to bas hai unhin se raunaq-e-bazm
vahi nahin hain jo ai ham-nashin to kuchh bhi nahin
haram men mujh ko nazar aae sirf zahid-e-khushk
makan khuub hai lekin makin to kuchh bhi nahin
tire labon se hai albatta ik halavat-e-zist
nabat-e-qand-e-shakar angbin to kuchh bhi nahin
dimagh ab to mison ka hai charkh-e-charum par
badha diya miri khvahish ne thiin to kuchh bhi nahin
ba-qaul-e-hazrat-e-‘mahshar’ kalam shaer ka
pasand aae to sab kuchh nahin to kuchh bhi nahin
vo kahte hain ki tumhin ho jo kuchh ho ai ‘akbar’
ham apne dil men hain kahte hamin to kuchh bhi nahin
Leave a Reply