udaas raat ko mahka.en koi chara karen
ḳhayal-e-yar ko ḳhushbu ka isti.ara karen
bala ki tirgi hai chashm-e-mah ko sochen
shua-e-ḳhvab tarah-dar ko sitara karen
mahak ruton ki bula.e tasarrufon ki taraf
kaTile taar magar aur hi ishara karen
ḳhizan ke din kisi piile pahaḌ jaise din
shaguft gul tiri ummid par guzara karen
hamare ishq ke surḳhab par vo itra.e
havas-jan men ham us ki nazar utara karen
tira hi naam nikalta hai har tariqe se
kisi bhi tarah mohabbat ka istiḳhara karen
ye dasht-o-ḳhar ye shahr-o-gulab sab tere
shabana roz tire lutf ko nihara karen
Leave a Reply