• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har Ek Rah Se Aage Hai KHwab Ki Manzil

Har Ek Rah Se Aage Hai KHwab Ki Manzil

har ek raah se aage hai ḳhvab ki manzil

tire huzur se baḌh kar ghayab ki manzil

nahin hai aap hi maqsud apna jauhar-e-zat

ki aftab nahin aftab ki manzil

kuchh aisa ranj diya bachpane ki ulfat ne

phir us ke ba.ad na aa.i shabab ki manzil

musafiron ko barabar nahin zaman-o-makan

hava ka ek qadam aur habab ki manzil

mohabbaton ke ye lamhe daregh kyuun kiije

bhugat hi lenge jo aa.i hisab ki manzil

milegi bada-gusaron ko shaiḳh kya jaane

gunah ki raah se ho kar savab ki manzil

masam naach rahe hain muamlat ke liye

guzar ga.i hai saval-o-javab ki manzil

mili jo aas to sab marhale hue asan

nahin hai koi bhi manzil sarab ki manzil

mizaj-e-dard ko asudgi se raas karo

kahan milegi tumhen iztirab ki manzil

rah-e-junun men talab ke siva nahin ‘sayyad’

agarche tai ho ḳhuda ki kitab ki manzil

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Chup Raha Ki Zahr Yahi Mujhko Ras Tha

Kabhi Achchha Bura Socha Nahin Hai

poet

Tere Jalal Se Khurshid Ko Zawal Hua

Kya Haqiqat Mein Nahin the Ye Saza-War Tere

poet

Jab Wo Aali-Dimagh Hansta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet