
Rashida Maheen Malik
chaha yahi tha ‘mir’ ka azar khinchti
sahra men apne vaste divar khinchti
aaya tha meri or vo pyase labon ke saath
bas men kahan tha mere ki inkar khinchti
mujh se chhuḌa ke haath vo jaane laga tha kyon
ik baar gar vo kahta to sau baar khinchti
karta agar saval ataa.i visal ka
tishna si arzu-e-talabgar khinchti
dil men chhupa ke baiTh gaya mausam-e-tarab
kaise main apna jazba-e-iz.har khinchti
rakkha hai us ne yaad mujhe ḳhvab ki tarah
ai kaash main bhi arsa-e-azkar khinchti
vo bhi gulon ki ḳhushbuon ke sang khelta
main bhi badan ki shaḳh-e-samar-bar khinchti
jaadu tha us ke husn-e-talab ke hisar men
‘mahin’ kaise shiddat-e-israr khinchti

Leave a Reply