har ik maqam se aage guzar gaya mah-e-nau
kamal kis ko mayassar hua hai be-tag-o-dau
nafas ke zor se vo ghuncha va hua bhi to kya
jise nasib nahin aftab ka partav
nigah paak hai teri to paak hai dil bhi
ki dil ko haq ne kiya hai nigah ka pairav
panap saka na khayaban men lala-e-dil-soz
ki sazgar nahin ye jahan-e-gandum-o-jau
rahe na ‘aibak’ o ‘ghauri’ ke marke baaqi
hamesha taaza o shirin hai naghma-e-‘khusrau’
Leave a Reply