har ik javab ki tah men saval aaega
gae yugon ke buton ka zaval aaega
hunar ka aks bhi ho aaina bhi ban jaao
phir us ke baad hi rang-e-kamal aaega
harif-e-jan hai agar vo to phir kaho us se
gai jo jaan to dil ka saval aaega
yaqin hai ki milega uruuj ham ko bhi
yaqin hai ki tira bhi zaval aaega
abhi ummid ko mayusiyon ka rang na de
thahar thahar abhi us ka khayal aaega
usi ke shah pe bujhega charagh-e-dil ‘adil’
nihan khulus men jo ishtial aaega