har ek bandish-e-ḳhud-saḳhta bayan se uTha
takallufat ka parda bhi darmiyan se uTha
faqat ḳhala hi nahin hai sada lagate chalo
ki abr-e-barish-e-naisan bhi asman se uTha
shajar ke saa.e men baiTha huun main tujhe kya hai
jo ho sake to mujhe apne astan se uTha
fusun-taraz thi kab chashm-e-nim-va itni
lahu ka fitna magar zeb-e-dastan se uTha
nazar na aa.i jo rah-e-mafar to phir main bhi
dhuan dhuan sa sar-e-bazm-e-dostan se uTha
yahan ki rasm hai ‘sahba’ kasad-bazari
ye jins-e-dil hai baḌi be-baha dukan se uTha
Leave a Reply