har ek baat kisi baat par hai goya tanz
miri zaban miri zaat par hai goya tanz
na vo ḳhulus ki garmi na valehana-pan
kisi se milna mulaqat par hai goya tanz
nigah-e-adam-e-ḳhaki ki vus.aton ka bayan
tamam arz-o-samavat par hai goya tanz
ajiib shaḳhs hai us ki bas ek ḳhamoshi
zamane bhar ki ḳhurafat par hai goya tanz
kisi ke haath pe bai.at na kar saka main ‘nadim’
so apna haath mire haat par hai goya tanz
Leave a Reply