har dam bata.e jaate hain ham bevafa nahin
tum ko nahin yaqin to shak ki dava nahin
vo kah rahe hain naaz se ham bevafa nahin
kis ka hai munh jo kah de ye da.ava baja nahin
zulf-e-rasa bhi yaar ki itni rasa nahin
tul-e-shab-e-firaq ki kuchh intiha nahin
aane ko hai vo hosh-ruba ho ke be-naqab
ai be-ḳhudi jabhi to pata hosh ka nahin
o rashk-e-hur qatl na kar mujh gharib ko
kucha tira bahisht hai kuchh karbala nahin
bijli se bhi siva hai chamak men nigah-e-shoḳh
sach hai vo tegh hi nahin jis par jila nahin
kal ḳhush the vo jo puchhte the meri aarzu
kaisi ye mujh se chuuk hui kuchh kaha nahin
shaki huun apne baḳht ka samjho to baat bhi
tum kyon bigaḌ rahe ho tumhara gila nahin
ro kar adu ke sog men andher kar diya
ai shoḳh aaj aankh tiri surma sa nahin
dil de ke main hua hadaf-e-navak-e-sitam
is men miri ḳhata hai tumhari ḳhata nahin
ghabrao mat jo mangte hain ham dua-e-vasl
maqbul ho kabhi vo hamari dua nahin
pariyon men ye ada hai na huron men ye banao
ḳhud husn kah raha hai ki saani tira nahin
insaf ki jo baat hai kahta huun ai ‘fahim’
sha.ir nahin jo mo’taqid ehsan ka nahin
Leave a Reply