vo charagh-e-jan ki charagh tha kahin rahguzar men bujh gaya
main jo ik sho.ala-nazhad tha havas-e-qarar men bujh gaya
mujhe kya ḳhabar thi tiri jabin ki vo raushni mire dam se thi
main ajiib sada-mizaj tha tire e’tibar men bujh gaya
mujhe ranj hai ki main mausamon ki tavaqquat se kam raha
miri lau ko jis men amaan mili main usi bahar men bujh gaya
vo jo lams meri talab raha vo jhulas gaya miri khoj men
so main us ki taab na la saka kaf-e-dagh-dar men bujh gaya
jinhen raushni ka lihaz tha jinhen apne ḳhvab pe naaz tha
main unhi ki saf men jala kiya main usi qatar men bujh gaya
Leave a Reply