hanste hanste bhi sogvar hain ham
zindagi kis ke qarz-dar hain ham
ruuh par jism ka labada hai
is liye hi to saya-dar hain ham
us ne dekha kuchh is ada se hamen
ham ye samjhe ki shahkar hain ham
ham ko itna gira paḌa na samajh
ai zamane kisi ka pyaar hain ham
aaj tak ye samajh nahin aaya
jiit hain kis ki kis ki haar hain ham
ho kabhi vaqt to ziyarat kar
ai mohabbat tira mazar hain ham
Leave a Reply