hangama-e-ḳhudi se tu be-niyaz ho ja
gum ho ke be-ḳhudi men agah-e-raz ho ja
had bhi to chahiye kuchh be-e’tina.iyon ki
gharat-gar-e-tahammul taskin-navaz ho ja
ai sarmadi tarane har shai men soz bhar de
ye kis ne kah diya hai paband-e-saz ho ja
ghairat ki chilmanon se avaz aa rahi hai
mahv-e-niyaz-mandi aa be-niyaz ho ja
aa mil ke phir bana.en mai-ḳhana-e-mohabbat
main jur.a-kash banun tu paimana-saz ho ja
siine men soz ban kar kab tak chhupa rahega
unvan-e-razdari tafsil-e-raz ho ja
ab so chuki ummiden ab thak chukin nigahen
jan-e-niyaz-mandi masruf-e-naz ho ja
soz-e-nazar se chhalken naghmat-e-raz-e-hasti
ai uqda-e-taghaful rudad-e-naz ho ja
‘ehsan’ kaash uTThen ye rang-o-bu ke parde
ai mahfil-e-haqiqat bazm-e-majaz ho ja
Leave a Reply