ye raaz koī jānñe vaalā bhī nahīñ hai
sūraj kī virāsat meñ ujālā bhī nahīñ hai
sau raste kamāne ke nazar aate haiñ lekin
khāne ke liye ek nivāla bhī nahīñ hai
lab naam tirā lene se katrāne lage haiñ
hālāñki tujhe dil se nikālā bhī nahīñ hai
kyoñ surḳh huā hai ye falak aaj sar-e-shām
maiñ ne to lahū apnā uchhālā bhī nahīñ hai
vo lafz huuñ maiñ jo na adā ho sakā ‘hāfiz’
vo baat huuñ maiñ jis kā havāla bhī nahīñ hai