chilchilati dhuup manzil duur tanha raste
dekhte hain ham faqiron ka tamasha raste
maslahat-amez hai rasm-e-vafa bhi aj-kal
dosti ki aaḌ men nikle hain kya kya raste
shart hai azm-e-javan zauq-e-safar tark-e-maqam
manzilen baḌh kar karengi ḳhud hi paida raste
ho rahi hai aaj phir mahsus yadon ki chubhan
Das rahe hain aaj phir mujh ko ye tanha raste
‘chand’ apni ziist ik bahte hue dariya si hai
pattharon men bhi jo kar leta hai paida raste
Leave a Reply