apne qamat se baḌa banta hai
jis ko dekho vo ḳhuda banta hai
ham to jaise bhi bane ban ga.e hain
dekhiye aap ka kya banta hai
vo mira tere siva banta nahin
jo mira tere siva banta hai
sach kahun jitna hasin hai na tu
ye jahan sadqa tira banta hai
ab to main aur kisi ki nahin huun
ab to vo shaḳhs mira banta hai
Leave a Reply