
Farrukh Jafari
abas hi mahv-e-shab-o-roz vo dua men tha
ilaaj us ka agar dard-e-la-dava men tha
ye aur baat ki vo tishna-e-javab raha
saval us ka magar gunjta faza men tha
hamen ḳhabar thi ki us ka javab kya hoga
magar vo lutf jo iz.har-e-mudda.a men tha
yaqin karen ki yahin koi jaise kahta ho
ki jo bhi dekha suna tha vo sab hava men tha
ham apne-ap ko kya kuchh nahin samajhte the
magar khula ki safar ḳhvab aur ḳhala men tha
ḳhud apne aks-e-gunah ka tha samna us ko
tamam umr vo a.ina-e-saza men tha

Leave a Reply