• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hangam-E-Naza Girya Yahan Be-Kasi Ka Tha

Hangam-E-Naza Girya Yahan Be-Kasi Ka Tha

riyaz-khairabadi

hangam-e-nazaa girya yahan be-kasi ka tha

tum hans pade ye kaun sa mauqa hansi ka tha

uttha na meri gor se dushman bhi baith kar

kya aalam aaj haae miri bekasi ka tha

chhaya hai asman ki tarah qabr-e-ghair par

dil men mire ghubar bhara jo kabhi ka tha

dil ne mujhe kharab kiya ku-e-yar men

dushman par e’tibar mujhe dosti ka tha

sahra men phir rahe the sulaiman bane hue

jis ko junun kahte hain saaya pari ka tha

dikh jaega dil is liye jaari hue na ashk

dekho to paas nazaa men kitna kisi ka tha

ye apni vaza aur ye dushnam se farosh

sun kar jo pi gae ye maza muflisi ka tha

jis anjuman men baith gaya raunaq aa gai

kuchh aadmi ‘riyaz’ ajab dil-lagi ka tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aa Gaya Ho Na Koi Bhes Badal Kar Dekho

Shajar Kalam Karen Shahr Bhi Naya Ho Jae

Gardish Ki Raqabat Se jhagDe Ke Liye Tha

Tumhaare Wasl Ka Bas Intizar Baqi Hai

poet

Ajab Faqir Ho Taj-E-Jahaniyan Tum Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet