Hamrah Lutf-E-Chashm-E-Gurezan Bhi Aaegi

hamrāh lutf-e-chashm-e-gurezāñ bhī aa.egī

vo ā.eñge to gardish-e-daurāñ bhī aa.egī

niklegī bū-e-zulf hamārī talāsh meñ

sahrā meñ ab havā-e-gulistāñ bhī aa.egī

vo jin ko apne tark-e-ta.alluq pe naaz thā

aaj un ko yaad sohbat-e-yārāñ bhī aa.egī

ham ḳhud hī be libās rahe is ḳhayāl se

vahshat baḌhī to sū-e-garebāñ bhī aa.egī

tai ho chukā hai sūd-o-ziyāñ kā mo.āmla

zaḳhm ā.eñge to lazzat-e-paikāñ bhī aa.egī

DhūñDhegī sar-barahna hameñ dasht-e-hijr meñ

ik din junūñ meñ ġhairat-e-jānāñ bhī aa.egī

ai rah-navard-e-ishq sambhal kar qadam baḌhā

is rāste meñ zulmat-e-hijrāñ bhī aa.egī

vo barq jo hudūd-e-nazar se pare rahī

vo barq ab qarīb-e-rag-e-jāñ bhī aa.egī

kaT jā.egā ye karb-e-shab-e-ġham bhī ai ‘zahīr’

shub.h-e-nashāt-o-fasl-e-nigārāñ bhī aa.egī

Leave a Comment