
Arman Najmi
ghani abadiyon ki be-amani ka tamasha kar
nikal kar ghar se marg-e-na-gahani ka tamasha kar
jo zinda aag men Daale ga.e lashen na gin un ki
jo bach nikle hain un ki saḳht-jani ka tamasha kar
jo taḳht-o-taj ke malik hain kya vo mo’tabar bhi hain
shar-angezi men Duubi hukmarani ka tamasha kar
bacha kya rah gaya kalak bhare jhulse makanon men
ujaḌi bastiyon ki be-nishani ka tamasha kar
na.i tariḳh ke safhon pe likkha ja raha hai kya
huruf-e-qahr ki atish-fishani ka tamasha kar
jo dil men hai use na-gufta rahne de to behtar hai
badalti surat-e-harf-o-ma.ani ka tamasha kar
na koi ḳhvab baaqi hai na aansu ḳhushk ankhon men
tahi-daston ki gum-sum nauha-ḳhvani ka tamasha kar
har ik shab shukr kar teri abhi gardan salamat hai
har ik din sail-e-ḳhun ki be-karani ka tamasha kar
qayamat sar tak aa pahunchi hai rakh le haath ankhon par
mata-e-zindagi ki ra.egani ka tamasha kar

Leave a Reply