• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Karenge Zulm duniya Par Ye But Aur Aasman Kab Tak

Karenge Zulm duniya Par Ye But Aur Aasman Kab Tak

poet

karenge zulm duniya par ye but aur asman kab tak

rahega piir ye kab tak rahoge tum javan kab tak

khudavanda inhen kis din shuur aaega duniya ka

rahengi be-padhi-likhi hamari ladkiyan kab tak

phirega aur kitne din khayali paar ghode par

udega sher-goi men na engine ka dhuan kab tak

inan-e-hukmarani dekhiye kis din khuda lega

rahenge qismaton par hukmaran ye asman kab tak

diye jaenge kab tak shaikh-sahib kufr ke fatve

rahengi un ke sanduqcha men diin ki kunjiyan kab tak

chali jaegi ik hi rukh hava taaki zamane ki

na puura hoga tera daur ye ai asman kab tak

tahammul khatm hote hi badi bad-namiyan hongi

tumhare khauf se ‘parvin’ na kholegi zaban kab tak

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil Ke Aangan Mein Teri Yaad Ka Tara Chamka

Dil Bujh Gaya Nigah-E-KHaridar Dekh Kar

Barson Se Hun Main Zamzama-Pardaz-E-Mohabbat

abid-kazmi

Maqam Apna duniya Mein Zishan Rakh

poet

Tu Baaton Mein Bigad Jata Hai Mujhse

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet