hamin ne un ki taraf se mana liya dil ko
vo karte uzr to ye aur bhi garan hota
samajh to ye ki na samjhe khud apna rang-e-junun
mizaj ye ki zamana mizaj-dan hota
bhari bahar ke din hain khayal aa hi gaya
ujad na jaata to phulon men ashiyan hota
dimagh arsh pe hai tere dar ki thokar se
nasib hota jo sajda to main kahan hota
Leave a Reply