sitaron ke aage jo abadiyan hain
tiri zulf ki gum-shuda vadiyan hain
zamana bhi kya raunaqon ki jagah hai
kahin rona-dhona kahin shadiyan hain
tiri kakulen hi nahin sabz pariyan
miri arzuen bhi shahzadiyan hain
badi shai hai vabastagi do dilon ki
ye pabandiyan hi to azadiyan hain
jahan qadr hai kuchh na kuchh aadmi ki
vo kya qabil-e-qadr abadiyan hain
yakayak na dil phenkna aankh vaalo
ye sab aankh ki fitna-ijadiyan hain
gharibon se kya kaam asaishon ka
vo unche gharanon ki shahzadiyan hain
‘adam’ suraton ki chamak par na jaana
ye sab aankh ki fitna-ijadiyan hain
jahan bhi ‘adam’ koi dilbar makin hai
vahan kitni gunjan abadiyan hain
Leave a Reply