• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kahte Hain Log Yar Ka Abru Phadak Gaya

Kahte Hain Log Yar Ka Abru Phadak Gaya

sauda-mohammad-rafi

kahte hain log yaar ka abru phadak gaya

tegha sa kuchh nazar men hamari sadak gaya

main kya karun ada-e-ghazab-nak ka bayan

bijli sa mere samne aa kar kadak gaya

naale se mere gul to hua chaak pairahan

bulbul tira jigar na ye sun kar tadak gaya

koi gaya na khauf se qatil ke samne

main hi tha us ke ru-ba-ru jo be-dhadak gaya

mushkil padega phir to bujhana jahan ka

jo tuk ziyada ishq ka shoala bhadak gaya

‘sauda’ chura chuka hi tha gulshan men gul ko main

qismat ko apni kya kahun patta khadak gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aks Kis Chiz Ka Aaina-E-Hairat Mein Nahin

Tumhein Pane Ki Chahat Hai Magar Khone Ka Dar Bhi Hai

poet

Wahshat-E-Dil Ka Ajab Rang Nazar Aata Hai

Nazar Jo Koi Bhi Tujh Sa Hasin Nahin Aata

poet

Duniya Ye Sahi Adu Bahut Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet