hamesha jitne vaala kabhi to haara bhi ho
mohabbaton men koi faisla hamara bhi ho
main is kinare pe baiTha huun aur sochta huun
miri giraft men dariya ka vo kinara bhi ho
ye shahr chhoḌna mushkil to hai magar sar-e-dast
kisi ko mera Thaharna yahan gavara bhi ho
mujhe qubul nahin tohmat-e-dua aur vo
ye chahta hai kisi ne use pukara bhi ho
main aftab nahin huun magar kabhi ‘shahzad’
mire madar men us shaḳhs ka sitara bhi ho
Leave a Reply