hamen to saath chalne ka hunar ab tak nahin aaya
diya apne muqaddar ka nazar ab tak nahin aaya
thiin jis badal ke raste par hava ki muntazir ankhen
vo shahron tak to aaya tha idhar ab tak nahin aaya
na jaane jangalon men ham mile kitne darakhton se
ghana jis ka lage saaya shajar ab tak nahin aaya
tazabzub ke andheron men bhatakta hai vo ik vaada
palat kar jis ko aana tha vo ghar ab tak nahin aaya
sajana chhod de phulon ko in chandi se balon men
falak par vo sitara ik agar ab tak nahin aaya
bhula kar bas zara si der sajdon ki ibadat ko
ye socho kyuun duaon men asar ab tak nahin aaya
jahan lakhon mohabbat ke charaghon se ujala ho
‘farah’ raushan kisi dil ka vo dar ab tak nahin aaya
Leave a Reply