gum-shuda saa.e DhunDhta huun main
lamha ban kar Thahar gaya huun main
zahiri shakl meri zinda hai
aur andar se mar gaya huun main
reza reza kiya havadis ne
apne zarrat chun raha huun main
kaun dekhega mujh men ab chehra
a.ina tha bikhar gaya huun main
vo rifaqat hai ab na vo shafqat
kitni ankhon men jhankta huun main
siskiyan chiḳh aah naghma fughan
kitne pardon ki ik sada huun main
koi munsif saza na de lekin
qatilo tum ko janta huun main
Leave a Reply