har kisi ke liye dua karna
ḳhuub hota hai yuun shifa karna
ab mujhe ujlat-e-riha.i nahin
tum mujhe maar kar riha karna
zindagi kya hai aur kya hai ajal
tum se milna tumhen juda karna
gar zamin par hua to a.unga
tum gala chhil kar sada karna
log sahil pe Duub ja.enge
tum samundar pe iktifa karna
Leave a Reply