maana ki musht-e-ḳhak se baḌh kar nahin huun main
lekin hava ke rahm-o-karam par nahin huun main
insan huun dhaḌakte hue dil pe haath rakh
yuun Duub kar na dekh samundar nahin huun main
chehre pe mal raha huun siyahi nasib ki
a.ina haath men hai sikandar nahin huun main
vo lahar huun jo pyaas bujha.e zamin ki
chamke jo asman pe vo patthar nahin huun main
‘ghalib’ tiri zamin men likkhi to hai ghazal
tere qad-e-suḳhan ke barabar nahin huun main
lafzon ne pi liya hai ‘muzaffar’ mira lahu
hangama-e-sada huun suḳhan-var nahin huun main
Leave a Reply