ai diida khanuman tu hamara dubo saka
lekin ghubar yaar ke dil se na dho saka
tujh husn ne diya na kabhu mufsidi ko chain
fitna na tere daur men phir niind so saka
jo shama-tan hua shab-e-hijran men sarf-e-ashk
par jis qadar main chahe tha utna na ro saka
‘sauda’ qimar-e-ishq men shirin se kohkan
baazi agarche pa na saka sar to kho saka
kis munh se phir tu aap ko kahta hai ishq-baz
ai ru-siyah tujh se to ye bhi na ho saka
Leave a Reply