fasurda laakh ho dil sho.ala-samani nahin jaati
sukun men bhi mire dariya ki tughyani nahin jaati
dam-e-nazzara bhi apni pareshani nahin jaati
bikhar jaate hain jalve shakl pahchani nahin jaati
dil-e-sada men o zauq-e-mohabbat baḳhshne vaale
abhi tak teri baḳhshish ki gul-afshani nahin jaati
abhi tak pai-ba-pai nakamiyon se dil nahin thakta
abhi tak arzuon ki faravani nahin jaati
na jaane kis nazar se tujh ko kis aalam men kab dekha
ki ab tak dida-e-hairan ki hairani nahin jaati
‘saba’ ne gudgudaya kuchh nasim-e-sub.h ne chheḌa
‘mubarak’ phir bhi gul ki pak-damani nahin jaati
Leave a Reply