jag hai mushtaq piv ke darshan ka
kis kuun niin ehtiyaj darpan ka
saaf dil hai jo aarsi manind
nit hai hairan jamal-e-raushan ka
garche hona hai aib-poshi jahan
kasb kar iḳhtiyar sozan ka
kyuun na hue ashiqi men ḳhauf raqib
har safar men ḳhatar hai rahzan ka
zohd-e-zahid hai ḳhauf-e-mahshar suun
taab namard kuun kahan ran ka
ḳhaak ho yaar ki gali mat chhoḌ
garche kuchh mudda.a hai daman ka
sabr kar hijr men tuun ai ‘da.ud’
dekhna hai agar sirijan ka
Leave a Reply