abhi mujhe ik dasht-e-sada ki virani se guzarna hai
ek masafat khatm hui hai ek safar abhi karna hai
giri hui divaron men jakde se hue darvazon ki
khakistar si dahlizon par sard hava ne darna hai
dar jaana hai dasht-o-jabal ne tanhai ki haibat se
aadhi raat ko jab mahtab ne tariki se ubharna hai
ye to abhi aghaz hai jaise is pinha-e-hairat ka
aankh ne aur sanvar jaana hai rang ne aur nikharna hai
jaise zar ki pilahat men mauj-e-khun utarti hai
zahr-e-zar ke tund nashe ne dida-o-dil men utarna hai
Leave a Reply