• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Bhar Len Ek Chutki Sahab-E-Tasir Mitti Ki

Jo Bhar Len Ek Chutki Sahab-E-Tasir Mitti Ki

poet

jo bhar len ek chutki sahab-e-tasir mitti ki

abhi sharminda-e-tasir ho iksir mitti ki

bana kar aadmi kyuun ab-o-gil men ishq ko daala

nikali hai khuda ne ye nai taazir mitti ki

hamari qabr par bhi ik hujum-e-be-kasi hoga

dikha denge pas-e-murdan tujhe tauqir mitti ki

zamin-e-kucha-e-dil-dar ne kya paanv pakde hain

mili divangan-e-ishq ko zanjir mitti ki

rahega tuut kar bhi khana-e-dil alam-e-hasrat

use bhi aap samjhe hain magar taamir mitti ki

yahi mitti hai jis se sab banae jaate hain yarab

buton men kyuun badal jaati hai phir tasir mitti ki

vo kushta huun ki ru-e-khak par bhi aa gai surkhi

khushi se shakl badli hai dam-e-takbir mitti ki

junun-e-ishq men tere zamana khaak barsar hai

badhi hai in dinon tauqir se tauqir mitti ki

zaban di thi khuda ne bolne ke vaste lekin

banaya naz-o-tamkin ne tumhen tasvir mitti ki

kahan sail-e-havadis men pata ham khaksaron ka

kahin thahri hai ru-e-ab par taamir mitti ki

musallat khakiyon par kyuun kiya hai charkh ko yarab

na tha maqbul uzr is ka to kya taqsir mitti ki

vo kya kya khaak udate hain zaban par aa ke tu ne to

hamari baat bhi ai nala-e-shab-gir mitti ki

tum aae mere ghar ka zarra zarra ho gaya raushan

hui mehr-e-darakhshan se siva tanvir mitti ki

udane dete hain vahshat-zada tere koi din men

badhegi justuju ab surat-e-aksir mitti ki

vo aae khaak udane ko pas-e-murdan to hasrat se

hamari ruuh kahti hai zahe-taqdir mitti ki

banaya us se hai dushman ko aur ham ko magar ‘salik’

kahin tauqir mitti ki kahin tahqir mitti ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Saba Ko Fikr Hai Kaba Naya Banane Ki

Mohabbat Ho Gai Jis Ko Use Ab Dekhna Kya Hai

poet

Aql-E-Juzwi chhoD Kar Ai Yar Fikr-E-Kul Karo

akhtar-hoshiyarpuri

Aag Chulhe Ki Bujhi Jati Hai

Shart-E-Diwar-O-Dar-O-Baam uTha Di Hai to Kya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet