bujhi hai aag magar is qadar ziyada nahin
dobara milne ka imkan hai irada nahin
kiya hai vaqt ne yuun taar taar pairahan
barahnagi ke siva jism par labada nahin
tira ḳhayal hai tanha.iyan hain aur main huun
mire nasib men ab vasl ka i.aada nahin
mila bhi vo to kahan us ka naam likkhenge
kitab-e-zist ka koi varaq bhi saada nahin
na zaat men koi manzil na ka.enat men hai
safar karun to kahan koi mera jaada nahin
hava ke saath hi shayad badal ga.i duniya
ki jaam jaam nahin aur baada baada nahin
ḳhud apne saa.e men hi baiThna paḌa ‘nasir’
koi shajar mire raste men istada nahin
Leave a Reply