ye sahra mera hai jhelam chanab us ki taraf
turab meri taraf aur aab us ki taraf
na jaane kis ne bana.i hai doghli tasvir
hain ḳhaar meri taraf aur gulab us ki taraf
zaban meri hai alfaz hain mire lekin
hai bat-chit ka lab-o-labab us ki taraf
miri ghazal ke muqaddar men pyaas aa.i hai
kashid ki hui umda sharab us ki taraf
koi muamma kabhi is tarah bhi ho maula
saval meri taraf huun javab us ki taraf
yuun apna nama-e-a.amal kar liya taqsim
gunah meri taraf hain savab us ki taraf
zarur puchhunga taqsim karne vaale se
rakha hai kis liye saara shabab us ki taraf
kisi ne naam se mere uchhala jab patthar
ubharne lag gaya ik inqalab us ki taraf
jo ḳhud se puchha ki ‘fani’ main ja.un kis raste
ishara karne lagi hai rikab us ki taraf
Leave a Reply