hamari yaad unhen aa ga.i to kya hoga
ghaTa idhar ki udhar chha ga.i to kya hoga
abhi to bazm men qaa.em hai do dilon ka bharam
nazar nazar se jo Takra ga.i to kya hoga
dhaḌak raha hai sar-e-sham hi se dil kam-baḳht
visal-e-yar ki sub.h aa ga.i to kya hoga
ye sochta huun ki dil ki udaas galiyon se
tumhari yaad bhi katra ga.i to kya hoga
surur aa gaya rindon ko dekhte hi subu
jo mai-kade pe ghaTa chha ga.i to kya hoga
vo baat jis se dhuan uTh raha hai siine se
vo baat lab pe agar aa ga.i to kya hoga
vafa ka dam na bharo dosto tum ‘aslam’ se
tumhen jo vaqt pe jhuTla ga.i to kya hoga
Leave a Reply