uth ja ki ab ye mauqa hathon se ja rahega
ye karvan hai akhir kab tak ruka rahega
zakhmon ko ashk-e-khun se sairab kar raha huun
ab aur bhi tumhara chehra khila rahega
yuun to bahut hai mushkil band-e-qaba ka khulna
lekin khula to phir ye uqda khula rahega
sargarmi-e-hava ko dekha hai paas dil ke
is aag se ye jangal kab tak bacha rahega
khulti nahin hai yarab kyuun niind raftagan ki
kya hashr tak ye aalam soya pada rahega
vaqt-e-zaval hai ham khilvad dekhte hain
uthiye ki ye tamasha yuun hi laga rahega
yaksar hamare baazu shal ho rahe hain yarab
akhir daraz kab tak dast-e-dua rahega
Leave a Reply