us ne jab kaha mujh se giit ik suna do na
sard hai faza dil ki aag tum laga do na
kya hasin tevar the kya latif lahja tha
aarzu thi hasrat thi hukm tha taqaza tha
gunguna ke masti men saaz le liya main ne
chhed hi diya akhir naghma-e-vafa main ne
yaas ka dhuan uttha har nava-e-khasta se
aah ki sada nikli barbat-e-shikasta se
Leave a Reply