Hamari Nind Mein Koi Sarab-E-KHwab Bhi Nahin

hamārī niiñd meñ koī sarāb-e-ḳhvāb bhī nahīñ

ye kaisā regzār hai fareb-e-āb bhī nahīñ

the kaise kaise log mere ḳhema-e-ḳhayāl meñ

ga.e dinoñ kī ḳhair ho ki ab tanāb bhī nahīñ

ye hādisa ki barf-barīyoñ kī zad pe aa ga.e

magar ye vāqi.a lahū meñ koī taab bhī nahīñ

na kuchh gila na iltifāt-e-hijr kī siyāh raat

farāmushī kā daur hai ki ab azaab bhī nahīñ

ye lamha lamha zindagī kuchh is tarah se kaT ga.ī

kahāñ pe ḳharch kyā huā koī hisāb bhī nahīñ

Leave a Comment