hamari jagti ankhon men khvab sa kya tha
ghaneri shab men uga aftab sa kya tha
kahin hui to thi halchal kahin pe gahre men
bigad bigad ke vo banta habab sa kya tha
tamam jism men hoti hain larzishen kya kya
savad-e-jan men ye bajta rabab sa kya tha
hamari pyaas pe barsa andhere ujiyale
vo kuchh ghataon sa kuchh mahtab sa kya tha
zara si der bhi rukta to kuchh pata chalta
vo rang tha ki thi khushbu sahab sa kya tha
ye tishnagi ka safar kat gaya hai jis ke tufail
vo dasht dasht chhalakta sarab sa kya tha
tamam umr khapaya hai jis men sar ‘bilqis’
bhala vo be-sar-o-pa si kitab sa kya tha
Leave a Reply