hamare bas men kya hai aur hamare bas men kya nahin
jahan-e-hast-o-bud men kisi pe kuchh khula nahin
huzur-e-ḳhvab der tak khaḌa raha saver tak
nasheb-e-qalb-o-chashm se guzar tira hua nahin
nazar men ik charagh tha badan men ek baagh tha
charagh o baagh ho chuke koi riha raha nahin
ujaḌ ga.iin haveliyan chali ga.iin saheliyan
dila tiri qabil se koi bhi ab bacha nahin
havas ki razm-gah men badan ki kar-gah men
vo shor tha ki duur tak kisi ne kuchh suna nahin
na jaane kitne yug Dhale na jaane kitne dukh pale
gharon men hanDiyon tale kisi ko kuchh pata nahin
vo peḌ jis ki chhanv men kaTi thi umr gaanv men
main chuum chuum thak gaya magar ye dil bhara nahin
Leave a Reply