• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / ruKH Se Burqa Jo ulaT De Wo to Aafat Ho Jae

ruKH Se Burqa Jo ulaT De Wo to Aafat Ho Jae

poet

ruḳh se burqa jo ulaT de vo to aafat ho jaa.e

qad-kashi ho to numudar qayamat ho jaa.e

daulat-e-husn-e-butan se to na rahiye mahrum

badshahi na ho par ishq ki daulat ho jaa.e

haal dekhe tire hairan ka jo ai a.ina-ru

hai yaqin dida-e-tasvir ko riqqat ho jaa.e

naam ghar jaane ka le yaar agar tu shab-e-vasl

ḳhana-e-tan se yahan jaan bhi ruḳhsat ho jaa.e

ta.ir-e-bagh asiran-e-bala nahaq hain

abhi uḌ jaa.en tasavvur men jo himmat ho jaa.e

intizar-e-but-e-be-pir se kya is ka ajab

mar ga.e par bhi jo va dida-e-hasrat ho jaa.e

doston ka ye hua haal ki kahti hai ḳhalq

dushmanon ko bhi tire saath na ulfat ho jaa.e

ik nazar dekhe tira husn jo ai a.ina-ru

abhi tasvir ka va dida-e-hairat ho jaa.e

tab.a-e-ali yahi kahti hai qalam se har dam

sher vo likh tu ki afaq men shohrat ho jaa.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jo Mumkin Ho to Soz-E-Shama Parwane Mein Rakh Dena

Meri Sari Kamai Lene Lagin

Tumhaare Jism Ko Chhu Kar Mahak uTThi Saba Koi

poet

Agar Ye Raat Hasin Hai to Din Jawan Nikal

meer-hasan

Aapko Usne Ab Tarasha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet